Dosto Online Paise kamana bahut mushkil hain lekin freelancing ek bahut accha platform hain jaha se aap ek client ke problem ko solve karte hain aur apke skill ke hisab se apko uske liye client se payment milta hai,Mera Name Tushar Kumar hain. iss website pe mera first guest post hain agar aapko esse hee interesting Online Making Money Tips and tricks sikhna chahte hai toh meri website visit kar sakte hain.

Freelancing kaise kaam karta hain ? 

<img fetchpriority=

PROCESS-1- Client ek Freelancing site pe job post karta hain.


PROCESS-2- Aap Client ke post kiye huwe kisi ek job pe apne skills ke hisab se job ko apply karte hain.

PROCESS-3- Client aapke profile ko review karta hain aur appko message karta hain.

PROCESS-4- Aap Client ke project ko pura karte hain.

PROCESS-5- Aapko Payment mil jati hain.

Steps Freelancing ne hazaron logon ko apne ghar se kaam karane ke liye aur jyada paise kamane mein help kari hai.

Dosto Maine Kayi baar logo ko dekha hain ki jab uske paas ek accha aur strong profile build up ho jata hain toh woh apna 9-5 job bhi chhod dete hain kyon ki ye ek sabse aasan raste hain Online ghar se paise kamane ke liye iss post ko padhane ke baad aapko pata chal jayega ki apne skills ke hisab se Freelancing Kaise start kare.Dost main aapko starting me upwork ke freelancing karne ka advise deta hu kyunki yaha par daily hazaro Jobs post hote hain.

STEP-1- SKILL Choose kare jisme aap work karna chahte hain

1. Sabse pahle aap iss PAGE pe jaye jaha aapko bahut sare skills dikhange jaha aap work kar sakte hain.

2. Ab aap uss field ko choose kare jisme aap sabse jayda skilled ya experienced hain.

3. Iske baad aapko jis field me interest hain usse related post kari gayi sabhi Job ko check kare.

4. Jab aapne kisi posted Job ko dekha aur agar aapko lagta hain ki aap uss work ko kare sakte hain toh uss Job ko Apply kar dijiye.

5. Agar aapko lagta hai ki aapke pas work ko complete karane ke liye SKILL nahi hain to left sidebar se ek alag category ko choose karne ka try kare.

Dosto agar aap apne interest se jyada search karne ke baad bhi koi accha Job nahi search kar paa rahe hain toh aap usse related SKILL ko jyada sikhne ke liye Google OR YouTube ki Help le sakte Hain.

STEP-2- Upwork Join kare aur Profile Create kare.

Dosto abb aap Upwork pe register kar sakte hain aur apna Professional profile banana start kar sakate hain kyunki lagbhag sare client jo in future appke sath kaam karenge wo sabse pahle aapke profile page ko review karenge phir apne discussion ke hisab se aapko Job OFFER karenge toh isiliye dosto main aapko bol raha hu ki pahle ek attractive profile banaiye jisse appko jyada Work mile.

Agar aapko ek Attractive profile banane me koi problem aati hain toh aap apne Field ke Freelancers ke profile ko dekh kar unse sikh sakte hain aur apne profile ko professional way me create kar sakte hain.
Profile Create Karne ke baad Upwork ki Team aapke Profile ko review karegi issme 5-6 Hours Lagte hain iske baad Aap Work Start Kar Sakte Hain.

STEP-3- Jobs pe Bidding kare

Ab jab aapke profile ko approval mil jayega tab aapko Clients ke Posted jobs par bidding karna hoga iske liye aapko proposal submit karna hoga.

Yaha Par aap dusre freelancers ke sath competitive isliye aapko kisi bhi Job ko Lene me bahut pareshani hogi kyunki aap se jyada experienced freelancer waha bidding laga rahe honge.

Ek proposal ko submit karne ke liye pahle apne interest se ek Job ko search kare phir apne SKILL ke hisab se uspar bid kare.
Upwork pe aapko two types ke jobs milenge:-

1-Fixed Price Jobs:- Iss type ke job me aapko ek fixed rate me work ko complete karke submit karna hoga.
2-Hourly Jobs:- Iss type ke jobs me aapko per hours rate ke hisab se work karna padta hain jaise agar client aapko 5$/hours ke rate pe pay karta hain aur 5 hours ka work hain toh aapko 5$x5h mean 25$ taak client aapko paid karega.


NOTE:- Upwork aapko free member wale plan me 30 Jobs bid karne deta hain per months so dosto aapse ki sabhi project me bid nahi kare kyunki agar aap eessa karte hain toh aapka Upwork account suspended bhi ho sakta hain.

Dosto I hope aapko Freelancing Se Paise Kaise Kamaye Aap Samajh Gaye Honge.
Thanks For Reading this Post…!!

Additional Reading:

READ MORE